Friday 25 November 2011

Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai


Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai k tum ho !
Aai jaan-e-jahaa(n) ! ye koi tum sa hai k tum ho !

Ye khwaab hai, khushbu hai k jhaunka hai k pal hai
Ye dhund hai, baadal hai k saaya hai k tum ho !

Is deed ki saa'at mein kaee rang hain larzaa(n)
Main hoon k koi aur hai, duniya hai k tum ho !

Dekho ye kisi aur ki aankhein hain k meri !
Dekhoon ye kisi aur ka chehra hai k tum ho !

Ye umr-e-gurezaa(n) kahin tthehre to ye jaanoon
Har saans mein mujh ko yehi lagta hai k tum ho !

Har bazm mein mauzu-e-sukhan, dil-zadgaa(n) ka
Ab kaun hai, Sheereen hai k Laila hai k tum ho !

Ik dard ka phaila hua sehra hai k main hoon !
Ik mauj mein aaya hua darya hai k tum ho !

Wo waqt na aaye k dil-e-zaar bhi soche
Is shehr mein tanha koi ham sa hai k tum ho !

Aabaad ham aashufta-saron se nahi maqtal
Ye rasm bhi is shehr mein zinda hai k tum ho

Aai jaan-e-Faraaz ! itni bhi taufeeq kise thi
Ham ko gham-e-hasti bhi gavaara hai k tum ho !

Tags:

0 Responses to “Jis samt bhi dekhoon nazar aata hai”

Post a Comment

Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks