Friday 27 January 2012

Ek diya jalaya hai...



Ek diya jalaya hai, tere naam ke liye
Ek diya jalaya hai, tere intezar ke liye...

ek diya jalaya hai khud ka haal batane ke liye 
ki kabhi man baati ban kar jal jata hai 
kabhi sabra ka rogan khatm ho jata hai 
kabhi hawaye dagmaga deti hai lau ko 
kabhi aandera chha jata hai 

ek diya jalaya hai , roshni ke liye 
man ke andhere ko mitane ke liye 
dil me nayi aas jagane ke liye 
tujh par hai vishwas jatane ke liye 

ek diya jalaya hai, tujhe wapas bulane ke liye
ek diya jalaya hai, meri yaad dilane ke liye .
chale gaye ho tum sarhad par mulk ko bachane ke liye
aur humne ye diya jalaya hai teri salamati ke liye 

Ek diya jalaya hai, tere naam ke liye 
Ek diya jalaya hai , tere intezar ke liye..

Tags:

0 Responses to “Ek diya jalaya hai...”

Post a Comment

Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks