Wednesday 18 January 2012

Faqeeh-e-Shaher...




Faqeeh-e-Shaher Ki Majlis Se Kuch Bhala Na Howa
Kay Us Se Mil Kar Mizaaj Aur Kafiraana Howa,

Abhi Abhi Woh Milaa Thaa Hazaar Baten Ki 
Abhi Abhi Woh Giya Magar Zamaana Howa,

Woh Raat Bhool Chuko Woh Sukhan na Dohraao
Woh Raat Khawab Hoi Woh Sukhan Fasana Howa,

Kuch Ab Kay Ayse Kare Thay Firaq Kay Mosam
Teri Hi Baat Nahi, Main Bhi Kiya Se Kiya Na Howa,

Hajoom Aysa Kay Raahen Nazar Nahi Aatien
Naseeb Aysa Kay Ab Tak Tu Qafila Na Howa,

Shaheed-e-Shab Faqat "Ahmed Faraz" Hi To Nahi
Kay Jo Charagh Tha Bakaf Wohi Nishana Howa.

Tags:

0 Responses to “Faqeeh-e-Shaher...”

Post a Comment

Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks