Wednesday 18 January 2012

Yahaan Rasm-e-Gham Ka..



Yahaan Rasm-e-Gham Ka, Farogh-e-Dard Ka Silsila Hi Nahi Raha
Tere Bad Ab Kisi Dil Mein Piyaar Ka Hoslaa Hi Nahi Rahaa,


TU Jahaan Se Bechra Tha Aaj Bhi Waheen Khara Hoon Aye 
Jan-e-Jaan
Tere Bad To Mere Saamne Koi Raasta Hi Nahi Rahaa,


Mera Chehra Gar K Chatakh Giya, Mera Dil Ghamon Se Tarakh Giya
Woh Garoor Ehd-e-Jamaal Kiya, Mera Aayena Hi Nahi Rahaa,


Mera Neel-e-Asar Yeh Keh kar Mujhe Nigal Giya Mere Saamne
K Ab Is K Dast-e-Zaeef Mein To Koi Aasaa Hi nahi Rahaa,


Kabhi Khul K Hansna To Kiya Khud Se Lipat Kar Ro Bhi Na Sake
Bare Din Howe Hain "Fareed" Khud Se Mukaalma Hi Nahi Rahaa.

Tags:

0 Responses to “Yahaan Rasm-e-Gham Ka..”

Post a Comment

Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks