Tuesday 14 February 2012

Ghum e jahan ho , rukh e yaar ho


ye kis Khalish ne phir is dil mein aashiyaanaa kiyaa 
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa 

Gam-e-jahaan ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu 
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa 

the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaan bhii 
sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa 

Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai 
vo raaz jis ne hamen raand-e-zamaanaa kiyaa 

vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii 
kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa ..


Tags:

0 Responses to “Ghum e jahan ho , rukh e yaar ho”

Post a Comment

Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks