Tuesday 17 July 2012

Agar mein koi kitaab likhta

Agar mein koi kitaab likhta
main tum ko misl-e-gulaab likhta.

tumhara surkhi main naam deta
agar haya ka jo baab likhta.

tumhari kaafir adaa gazab hai
badan masaal-e-shehaab likhta.

kahin main chehre ko chand likhta
kahin kahin aaftaab likhta.

tumhari aankhon ko jaan-e-janaa
kisi musawar ka khwaab likhta.

tumhari zulfon ko shaam kehta
wo nahin bhi laajawaab likhta.

ye kafirana aml hai laikin
mai deed kar ke sawaab likhta.

nazar main tera hi aqs hota
agar haseeno.n pe baab likhta.

hai jaan dena gunaah lekin
main es aml ko sawaab likhta.

agar jo dil ko zabaan milti
to dil ka main iztiraab likhta.

mujhe bata kis tarah main Qaiser
haqiqaton ko saraab likhta ..


Tags: , , , ,

0 Responses to “Agar mein koi kitaab likhta”

Post a Comment

Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks