Allama Iqbal




Lab pe ati hai dua ban k tamnna meri
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri
dur duniya ka mere dam andhera no jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye
ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat
zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab
ho mera kam garibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna
mere Allah burai se bachana mujhko
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko.



Sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain
isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain
gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain




Tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar
jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar
garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar
koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar
tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar.




Tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun
koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun.




Utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do.




Sare jahan se acha hindustan hamara
ham bul-bulen hain is ki ye gulistan hamara
gurbat mein hon agar ham rahta hai dil watan mein
samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara
parwat wo sab se uncha hamsaya asman ka
wo santri hamara wo pasban hamara
godi mein kheli hain is ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin k dam se rashk-e-janan hamara
ai ab-e-rud-e-ganga wo din hai yad tujh ko
utra tere kinare jab karwan hamara
mazhab nahin sikhata apas mein bair rakhna
hindi hain ham watan hai hindustan hamara
yunan -o-mishr-o-roma sab mit gaye jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara
kuch bat hai k hasti mitati nahin hamari
sadyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
‘Iqbal’ koi mahram apna nahin jahan mein
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara.




Sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main
hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki dalil
jis ki gaflat ko malak rote hain wo gafil hun main
bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho
tu to ik taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main
dhundhata phirta hun ai “Iqbal” apne ap ko
ap hi goya musafir ap hi manzil hun main.




Sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
tere sanam kadon k but ho gaye purane
apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi Khuda ne
tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
waiz ka waz chora, chore tere fasane
patthar ki muraton mein samjha hai tu Khuda hai
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai
a gairat k parde ik bar phir utha dein
bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den
suni pari hui hai muddat se dil ki basti
a ik naya shiwala is des mein bana den
dunya k tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila dein
har subah mil k gayen mantar wo mihe mihe
sare pujariyon ko mai pit ki pila dein
shakti bhi shanti bhi bhakton k git mein hai
dharti k basiyon ki mukti prit mein hai.




Nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri
ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri
uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri
ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri
tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri
ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri.




Mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka
hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka
shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka.




Mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai
ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai
namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai.




Khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin
tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin
har muqam se age muqam hai tera
hayat zauq-e-safar k siwa kuch aur nahin
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin
urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab
k main nasim-e-sahar k siwa kuch aur nahin
jise qasad samajhte hain tajran-e-firang
wo shay mata-e-hunar k siwa kcuh aur nahin
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gauhar mein ab-e-gauhar k siwa kuch aur nahin.




Kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein.




Jinhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun “Iqbal” apne nuktachinon mein.




Ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai.




Gulzar-e-hast-o-bu na beganawar dekh
hai dekhne ki chiz ise bar bar dekh
aya hai to jahan mein misal-e-sharar dekh
dam de najaye hasti-e-napayedar dekh
mana k teri did k qabil nahin hun main
tu mera shauq dekh mera intzar dekh
kholi hain zauq-e-did ne ankhein teri to phir
har rahguzar mein naqsh-e-kaf-e-pay-e-yar dekh.




Ata hai yad mujhko guzara hua zamana
wo bag ki baharen wo sab ka chah-chahana
azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
apni khushi se ana apni khushi se jana
lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
shabnam k anson par kaliyon ka muskurana
wo pyari pyari surat, wo kamini si murat
abad jis k dam se tha mera ashiyana.




Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se.



Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks