Wasi Sha





Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai 
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai 
Maa! Mujhe LoorY SuNaoOo nA 
SuLa DoNa Mujhe 

Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai 

Rat jagey ab tu Muqadar hain Meri pulkon ka 
Neend aye tu liye ate hai bagdad ki Yaad 
Ankh lagte he koi bewa utha dete hai 
Pait kitna he bharon bhook nahi Mitti hai 

jalte Basra ki Mujhe Piyass jaga dete hai 
koi qandhar ki waddi se bulta hai Mujhe 
zikar qandoz ka aye tu mujhe lagta hai 
kat ker sar koi hansta hia,jalata hia mujhe 
bomb ki awazain mujhe kuch nahi kehti hain maagar 
zakham in bacho ke sone nahi dete hian mujhe 
Maa Meri ankhian tu pather ki hue jate hian 
nojawaan lashey yeh rone nahi dete hian mujhe 
Mere seene per rakho hath 

RuLa DoNa Mujhe....! 
Maa!Mujhe LorrY SuNaoOo Na 
SuLa DoNa Mujhe....! 
Maa! Mujhe Neend Nahi ate hai 
Aik Mudat se Mujhe Neend nahi ate hai....!





Kash main tere hasin hath ka kangan hota
tu bare pyar se bare chao se bare arman k sath
apni nazuk si kalai mein charhati mujh ko
aur betabi se furqat k khizan lamhon mein
tu kisi soch mein dubi jo ghumati mujh ko
main tere hath ki khushbu se mahak sa jata
jab kabhi mud mein a kar mujhe chuma karti
tere honthon ki shiddat se main dahak sa jata
rat ko jab bhi tu nindon k safar par jati
marmari hath ka ik takya banaya karti
main tere kan se lag kar kai baten karta
teri zulfon ko tere gal ko chuma karta
jab bhi tu band qaba kholne lagti janan
apni ankhon ko tere husn se khera karta
mujh ko betab sa rakhta teri chahat ka nasha
main teri ruh k gulshan mein mahakta rahta
main tere jism k angan mein khanakta rahta
kuch nahin to yahi benam sa bandhan hota
kash main tere hasin hath ka kangan hota




Tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga
ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga
isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga
sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga
ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga
shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga
aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga
hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga
is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga.




Dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete.




BAAGH. ka har Phool khilta nahi
Her Qadam sath koi Chalta nahi
Ye Dastoor hai Shehr-e-Mohabat ka
WASI.
jisay Shiddat se Chaho wo kabhi Milta nahi.




Main paa na saka kabi is khalish sy chutkara .
WASI.
wo mujy jeet b skta tha jany kyun haar gya.




sanson ka tot jana to aam si bat hai WASI
jahan apny yad karna chor jaen mout usko kehty hain.



Rasm Bhi
Kitni Ajeeb Hai

Jaane Wale
Palat Kar
D o b a r a
Dekhte Hain

Doobne Wale
Doobne
Se Zara Pehle

Ek Umeed Par
Kinara
Dekhte Hain

Teri Khudai Se
Gila
Hone Lagta ha

Jab Dunya Mein Koi
Be_Sahara
Dekhte Hain

Kya Mohabbat
Hamein
Bhi Raas Aye Gii
“wasi”

Aao Apna Apna
Sitara
Dekhte Hain




Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi
Kash main bhi kisi sham ka manzar hotaa.



Unhen khena agr fursat me he yad karna he tu na kare WASI?
Hum tanha e sahi magar itne fazool nahe hen?




“Na Kar Byaan Un Se Haal E Dil WASI”

“Magror Sa Shakhs Hai Kahin Sath Na Chor De”…




Bhool jayen gay tumhain, yeh tumsay wada hai,

?Wasi?

= ^ = Bas = ^ =

Jism say zara saans ka rishta tau toot janay do?




Hawa ki mooj ma aj ghazabki nazakat hai wasi?

Zaroor aj is ne mere mehboob ko chuma hoga.




" Kisi Ko itna Na Sata Ke Wo Zindagi Ki Baazi he haar jaye,,

" W a s i "
" MusaLsaL Barishon Se Gir jaatay hain Kabhi Kabhi PakKay Makaan bhi..?




Junoon-e-ishq tha to kat jati thi raat baaton main
?WASI?
Saza-e-ishq mili to har lamha sadiyun jaisa lagnay laga.




GHAM NA KAR WOH THUJI BHOOL NAHI SAKTA

=>WASI=>
JAB BHI TANHAI MAIN UDAS HOGA YAAD THUJHE ZARUR KAREGA...




Mjhe Aksar Apno Se Chahat Ka Shikwa Rehta Hai
*WASI*

Q K Apno Ne Kabhi Nai Chaha Mjhe Apno Ki Tarah.




Tamaam din khud ko ?SAMAITTAY? huway guzer jata hai? WASI?

Shaam ko us ki ?YADON?ki hawa chalti hai to phir ?BIKHAR? jata hoon..




WOh DIL mein hai.. dharkan mein hai.. rOoh mein hai..
..WASI..
Sirf QISMAT mein nhi hai tO KHUDA se gila kesa?




Waqat aakhiri hai teri duniya main es deewane ka,

Ho sakay tu mere mehboob ko bata do yaaro,

Suna hai aaj us ki doli es gali se guzar jaye gi Wasi,

Meri mayyat ko es raste se hata do yaaro.




Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi
Kash main bhi kisi sham ka manzar hota.




Teri Ankhun K Haseen Jaal Me Aa Jaon Ga Mai, 
Mujh Ko Lagta Hai Teri Chaal Me Aa Jao Ga Mai. 

Zindagi Baad Tere Hona Thi Mushkil Lekin, 
Ye Na Socha Tha K Is Haal Me Aa Jao Ga Mai. 

[ "Dekh Kr Us Ko Mujhe Yaad Kre Gi Dunya, 
Eik Din Us K Khadokhaal Me Aa Jao Ga Mai." ] 

Kitne Mosam The Jo De Kr Mujhe Taaney Guzrey, 
Tum To Kehte They K Ik Saal Me Aa Jaon Ga Mai. 

Sur Me Aa Jaye Ga Jewan Tere Jane Se, 
Tere Aane Se Kisi Taal Me Aa Jao Ga Mai.




Abi to ishq me aisa b haal hona ha 
K ashk rokna b tm se mahaal hona ha 

Tmain khber ha nae tum to lot jao gy 
Tmhary hijer me lmha be saal hona ha 

Humari roh py jeb be azaab utrain gy 
Tmhari yadon ko es dil ke dhaal hona ha 

Milain ge hmko be apny naseeb ke khushian 
Bus entazar ha k kb ye kmaal hona ha 

Her ek shekhs chaly ga hmari rahoon per 
Mohabbton me hmain wo misaal hona ha 

WASI mjh ko yaqeen ha k wo lot aye ga 
Ussy be apny be kiye ka mlaal hona ha!
.



Eik Masoom Takaddus Me Bhigoya Huwa Lams, 
Kitna Pakiza Hay Ehsas Me Dhoya Huwa Lams. 

Ye Tere Jism Ki Khushbu Ka Sonehra Ehsas, 
Jis Terha Chand K Haaley Me Paroya Huwa Lams. 

Us K Hontoon Ko Me Chhu Loon To Gumaan Hota Hay, 
Jese Jannat K Gulaboon Me Daboya Huwa Lams. 

Jo Meri Rooh Me Utrey He Chale Jaate Ho, 
Ik Nae Rang Me Ubhrey Ga Ye Boya Huwa Lams. 

Bhegi Khusbo Mae Basa, Wasl Me Bhega Bhega, 
Kitna Masoom Hay Pehlo Me Ye Soya Huwa Lams. 

Tishnagi Aan Basi Hay Meri Pooroon Me WASI, 
Dhondta Phirta Hun Muddat Se Main Khoya Huwa Lams.




Kal hamesha ki tarha uss ne kaha ye fone par 
mein buhut masroof hoon mujh ko buhut se kaam hain 

iss liye tum aao milney mein tou aa sakti nahi 
har riwayat toRh kar iss baar mein ney keh diya 

tum jo ho masroof mein bhi buhut masroof hoon 
tum jo ho mash'hoor tou mein bhi buhut maroof hoo 

tum agar ghamgeen hoo mein bhi buhut ranjoor hoo 
tum thakan sey choor tou mein bhi thakan sey choor hoon 

jan-e-man hai waqt mera bhi buhut hi qeemti 
kuch puraney dostoon ney milney ana hai abhi 

mein bhi ab farigh nahi mujh ko bhi lakhon kaam hain 
warna kehney ko tou sab lamhey tumharey naam hain 

meri aankhein bhi buhut bojhal hain sona hai mujhey 
rat'jagoN key baad ab neendoN mein khona hai mujhey 

mein lahoo apni anaoo ka baha sakta nahi 
tum nahi aati tou milney mein bhi aa sakta nahi 

uss ko ye keh kar wasi mein ney reciever rakh diya 
aur phir apni ana key paaon pey sar rakh diya.





Wasi hum ne pyar kia tha 
Ulfat ka iqrar kia tha 

Amjad rung ik geet likha tha 
usko apna meet likha tha 

Neher kinarey, peepal chao'n 
Un sey yeh izhar kia tha 

Jana bosa lene do 
dast-e-hina chu lene do 

Talab na paiee, mausam badla 
nadi kinara, gum sum pani 
hum se aaj yeh kehta hai 

Wasi kuoon-kar pyar kia tha 
kyoun is ka iqrar kia tha.




Aag lehra ke chali hai use aanchal kardo 
tum mujhe raat ka jalta hua jungle kardo 
chaan sa misraa akela hai mere kagaz per 
chhat per ajao mera shair mukammal kardo 
main tunhein dil ki siasat ka hunar deta hoon 
ab ise dhiip banaado,mujhe badal kerdo 
apne aangan ki udaasi se zara baat karo 
neem k sukhey howe pairh ko sandal kardo 
tum mujhe chorr ke jaogi to marr jaoonga 
yun karo jane se pehley mujhe pagal kardo.




Unke koochey main jo tasleem-e-wafa karte hain 
Dil-e-nadan sey har ik roz jafa karte hain 

Daar per chardhney se pehley hi sanam rooth gaya 
Kitney nada`n hain unhey khud se khafa kerte hain 

Khoon behta hua jaey bhi to woh na manien 
woh to bus yun hi humein khud se dafa kerte hain .




Subscribe

Donec sed odio dui. Duis mollis, est non commodo luctus, nisi erat porttitor ligula, eget lacinia odio. Duis mollis

© 2013 Poetry-Poems-Love Stories-Gazals. All rights reserved.
Designed by SpicyTricks